Thursday, April 4, 2013

Zubaan

beparvah lafzon ki zuban
bulbulon si nabzon ki zuban
suni hongi ashqon ki zuban
sukhe khu ke zakhmon ki zuban

khushkh hothon se sili
khushk hothon se sili
bepanaah ishq ki zuban...
beparvah lafzon ki zuban

bikhri sirhaane pe mere
teri ranjisho ki zuban
bekhayali mei badbadaae
surkh kaaton ki zuban

beparvah lafzon ki zuban
yun teri ungliyon mei
uljhi meri zulfein
teri kalaai pe bandhi

meri zulfon ki zuban
kharonchon kharaashon
khaafa gilon ki zuban...
beparvah lafzon ki zuban

husn e mirza ko takti
thaki aakhon ki zuban
harr hasi mei sisakti
jhuthe vaadon ki zuban

mere aanchal se chhili
hasraton ki zuban
mere kaandhe pe chhani
laal raaton ki zuban

dhoop pe jalte behte
siyaah ashqon ki zuban
suni hongi tumne
aayaton ki bhi zuban

namazon mei maangi
khidkiyon pe taangi
mazjidon ki seedhiyo pe padi
beeti barsaat ki zuban

beparvah lafzon ki zuban
bepanah ishq ki zuban

No comments:

Post a Comment