Friday, April 12, 2013

ek samay ki baat hai

ye baat uss samay ki hai
jab tum aur mai hum hua karte thhe
thahaakon ke shor mei ghumshudaa
mann mei malaal kam hua karte thhe
meri hathon ki lakeeron se vaaquif thhe tum
maathe ki shikann se bhi anjaan na thhe
sharaarat zarur karte thhe hum
par yakeen tha beimaan na thhe
yaad hai? shaam ko uss roz
mitti ke nanhe nanhe ghade banae thhe
sindoori mitti ke geele haathon se
mere maathe pe tumne chaand sajae thhe
mitti kya sukhi mera chaand tukdon mei
bikhar ke gir aaya dhul se
qatra qatra mil gaya zameen mei
khaer choro itni si baat pe karne se gaur kya hoga?
yun mitti ke chaand banaaoge aasman mei toh aur kya hoga?

2 comments: