Tuesday, September 10, 2013

Ghalib ki Galiyaan

Ye ghalib ki galiyan hain janaab
Yahaan chaubaron pe kapde jhaado
Toh paani ki boondon ko chooriyon ki khanak se ishq ho jaata hai
Jo khidki ke peeche se chaunk ki tez tarrari sunaai padh jaae
Toh aankho ko mirchi ki tees ka chaska chadh jaata hai
Har subah tauliye se chalakte bheege baal Baarishon ke mausam ka sa ehsaas chor jaate hain
Yahaan araam parast kone, shamon ko dhua karte ghazalein gaate hain
Dhool ko gaur se dekho... Dhoop mei khwabon si chamakti dikhai padegi
Shhh gaur se suno rickshe ke pahiye pe bandhe kisi ashiq ke dil ki aah sunaai padegi Yahan bazaron mei kaudiyan nahi chalti
Tute hue dil, galon ke til, thande armaano aur ghungraale baalon mei khareed hoti hai
Ye berehm beparvaah kilkaarion mei hasti hai Ye chameli ke gajron ki khushbu mei sajti hai Ye tute masruf dilon ki doobi kashti hai
Ye pehmaano se tapaki boondon si dassti hai Ye ghalib ki galiyan hain janab ye ishq ki basti hai

Sunday, September 1, 2013

"Acha Ab Mai Chalta Hun"

ab toh…bas saansein chal rahi hai
zindagi toh usi din tham gayi thi
jab tumne kaha tha "acha, ab mai chalta hun"
ghutnon pe hath tikaa ke
ek saans bharke uthe thhe
chaukhat tak chalke gae thhe
phir feetey baandhne ko rukey thhe

hamesha feetey khule chor dete ho na
kisi din gir gae toh?
toh tum ho na…hath badha ke utha dena
ya khud zameen pe utar aana
mere liye, itna toh karogi na tum?

mai toh kabhi aasmaan ki thi hie nahi
Jab tak tum mere aasmaan na baney
mai toh kabhi iss jahaan ki thi hie nahi
jab tak tum mere jahaan na baney

kitni baar bataya tha maathe ko noch ke
jaate waqt hamesha "laut ke aata hun" kaha karte hain
hoge tum befiqr khuda se hum insaan toh befikari se darte hain
ab toh suraj bhi maano ek hie aas mei dhalta hai
suiyaan chubhaata hua sa waqt chalta hai
ki zindagi toh usi din tham gayi thi
jab tumne kaha tha "acha, ab mai chalta hun"