Vo zamaana aur tha
Jab dil ki galiyan maidaan hua karti thi
Vo zamaana aur tha
Jab dil ki galiyan maidaan hua karti thi
Ab toh surat-e-haal ye hai ki
Daraaron tak mei malba quaid hai
Daakhila toh muft hai magar iss
Tehes riyaasat ki murammat ke
Tamaam akhrajaat tumhare hain
Bhardo jo haami lakeeron ki daleelon ki
Bhardo jo haami lakeeron ki daleelon ki
Toh tamaam kaghazaat tumhare hain
Mai ye nahi kehti ki tabaah sheher mudh ke saans nahi bharte
Na ye munaasib kehna ki bevafa baaz dafa wafa nahi karte
Haan magar seelan se namm eeton se
Mehel banaane ke khwab tumhare hain
Zang quaid taaron se taaj bunn pao agar
Zang quaid taaron se taaj bunn pao agar
Toh baanh pe ghaat diye baaz toh kya
Moondi ankhon mei chipe surkhaab tumhare hain
I never knew that you are such an amazing poet. beautiful poetry Dipali
ReplyDeleteDil khush ho gaya padh ke.. tumhari lafzon se nafaasat tapakti hai.. yun saleeke se kharoche shabd aur saheje lamhon ki khuraak jo tumhari shayri me wabasta hai uska vakai koi jawaab nahi!! Bahot hi umda!! :-)
ReplyDeleteOopar wala comment padhke complex ho gaya, but okay. You are brilliant. Period.
ReplyDeleteAnd this one, tumhari aawaaz mein suna do kabhi.
I waited for some time to find words and comment on this poem. But I failed. This is sheer brilliance. Matlab kisi aur hi level pe hai jaha tak jana aur usko samajhne ka safar hi bahut haseen hai.
ReplyDelete@Naivin ji, aapki taareef apne aap mei itni haseen hoti hai ke insaan isse haasil karne bhar ke iraade se jaane kitni kavitaein likh baithe :D shukria
ReplyDelete@Saumya... Tumhara hukum sar aankhon par.
@Aavika tum bhi kuch kamm nahi ho :* aur pata hai ye kavita bhi balliaraan se guzarte hue likhi thi, kuch roz pehle gai thi vahaan subah subah :) dusri kavita hai jo Ghalib ki Galiyon mei safar se nikal ke aayi hai ;)
After reading such amazing piece of poetry. I realized that I have to work thousand times more to reach this level. MAGNUM OPUS!
ReplyDeleteThank you Suraj! Do share your poems! You can always get in touch with me via Facebook: https://www.facebook.com/poetrybyrida
ReplyDelete