raat soe nahi khwabon ke darr se
jaagte rahe kalam ka daaman pakad ke
darte rahe kahin neend na chhal de
aankhon ko dhokhe se moond ke chal de
jalte rahe laalten ke sath sath
kaagaz pe bechain chatle rahe sard hath
aankhein banaai toh aansu sath bann aae
maano alfaaz saare siyaahi mei chann aae
raat gaadhi hoti rahi ghadi ki aavaz se
hum dhuaan hote rahe kaayaron ke andaaz se
subah ki pehli aahat se kuch sukoon aaya
par bojhal aankhon ko faqat junoon aaya
socha phir darte darte raat ko zaaya kyu kiya
kambakht khwabon ne khuli aakhon ka rasta dhund liya.
Saturday, April 13, 2013
Raat gayi...
Labels:
verse wise (poems)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
raat ka koi kasoor nahi..
ReplyDeletewoh iss aas main baithi rahi
ki jaane kab
ye apne kalam ki syaahi ki udelegi
uski har harqat aur unme chhupi
jazbaaton se khelegi
goya usko ye ilm tha
ki in daayron me chhupa lamha
kisi shayar ka hai
jo apni sheh khel jaayegi
kuch bhooli bisri suna
baaton me buni dosti subah hote hi
kisi panne ke supurd kar aayegi
achaaaa toh ye aap hain Navin ji... hum kabse soch mei baithe hain ki itna quadrdaan kaun hai hamaari kavitaaon ka jinhe itni fursatt hai ki unhe padhein bhi aur itne sundar comment bhi karein. aadatein bigaad rahein hain aap hamari...par thankyou so much. :)
ReplyDelete