Thursday, April 4, 2013

Meri tarha

dono ki yahi uljhan hai
ki unko bhi toh gila hai
meri tarha
rashk-o-ranj ka jo sama hai
unko bhi toh mila hai
meri tarha
dono ki baatein kahin
zehen mei hie dafn reh gayi
jaane kis giley ke maare
larzaan hai lafz kahin
hothon ke kono mei
kabhi Faiz ki yaad mei
bitayi shabon ki aanch se
phir dhuaan uthta hai yun
maano bujhte koele ko
phir havaa ne sehlaya ho
phir barf ki chaadar dikhai padti hai
vo jo pighalte nahi banti
nakhun se kharonche annmane
nishaan dikhai padte hain bass
angeethi ki bujhti kokh se ujle hue
kyu na isi nazm ke bahaane chalo
bhul jaae dhundle se giley saare
aaj phir puraani dilli ke paas kharchi
chai ki piyaali yaad karte hain
jiski mithas aaj bhi zuban pe
tumhari bhi utar aati hai
meri tarha.

2 comments: