Tuesday, April 30, 2013

Pain

A sense of loss...
that doesn't hurt...
it's beyond the reach of emotional pain
and since there is no pain there is no hope
no hope of healing
A sense of loss...
that's numb...
as if under a permatent dose of anesthesia
you know its going nowhere...
you'll just learn how to live with it...
like a stitch under your breast...  
you'll get used to looking at it in the mirror every morning
unconsciously massaging it while watching tv hoping that it goes away...
but you know it won't  
then one day you might find a cure...
a person or people who can take it away... heal it...
don't be alarmed when you don't want them to...
you've gotten used to this presence
this lifeless faint recollection of pain...
you won't want it to go away  
you see... pain is more faithful than happiness...
it doesn't go away that easily which is why we like it better than happiness and experience it more than happiness  
its like a very strict sports coach
makes us cry, troubles and tests us
tired and exhausted we end up falling asleep cursing it most nights  
but every morning...
we wake up...stronger and mightier
knowing we've fought it this far and we'll fight it again...and again...  
pain is a friend...
but it has a job to do...
and its bloody good at it.

Sunday, April 28, 2013

tim tim

maddham shaam mei
dagmagaate paeron taley
ghumshuda shamon se bahot dur
thahaakon ke nashe mei chur chur
dhuen ke beech kahin bechain
mil gaya aaj kuch vo
shayad arso se dhundh rahi thi jo
vo bachpan ki geeli mitti mei dabi
bulbulon pe yun hie hasti
chote se laal gubbare mei simti si
mummy ki ungli pakde idhar udhar rukti
har rangeen chamakti cheez ko takti
yun hie beparvaah bikharti barasti
vo bachpan vaali hassi
vo hi bachpan vaali hassi...

Saturday, April 13, 2013

Raat gayi...


raat soe nahi khwabon ke darr se
jaagte rahe kalam ka daaman pakad ke
darte rahe kahin neend na chhal de
aankhon ko dhokhe se moond ke chal de    
jalte rahe laalten ke sath sath
kaagaz pe bechain chatle rahe sard hath
aankhein banaai toh aansu sath bann aae
maano alfaaz saare siyaahi mei chann aae 
raat gaadhi hoti rahi ghadi ki aavaz se
hum dhuaan hote rahe kaayaron ke andaaz se
subah ki pehli aahat se kuch sukoon aaya
par bojhal aankhon ko faqat junoon aaya
socha phir darte darte raat ko zaaya kyu kiya
kambakht khwabon ne khuli aakhon ka rasta dhund liya.

Kaafir

kache raste pe chalta kaafir mile jo kabhi
toh haske usse gale lagaa bhi lena
chalta chala hai khud hie ki dhun mei
na duniya se ranj na khuda ki khaer
kabhi jo tumse takraa jae toh thoda gunn gunaa hie lena
sar phira hai vo anjaan bhi khud se
gar nazrein milein kabhi toh usse ayina dikha bhi dena
dhoop chani dhul ki chamak mei ghum vo
aankhon se tasveerein banaata hai
har shaqs mei chhipe raushni ke tukdon ko
phoonk phoonk chamkaata hai
koi kahe uss se kab khud pe guroor farmaaega
toh bas hass ke taal jaata hai
vo dekho phir dikha mujhe
vo kaafir kache raston pe chala aata hai

Friday, April 12, 2013

ek samay ki baat hai

ye baat uss samay ki hai
jab tum aur mai hum hua karte thhe
thahaakon ke shor mei ghumshudaa
mann mei malaal kam hua karte thhe
meri hathon ki lakeeron se vaaquif thhe tum
maathe ki shikann se bhi anjaan na thhe
sharaarat zarur karte thhe hum
par yakeen tha beimaan na thhe
yaad hai? shaam ko uss roz
mitti ke nanhe nanhe ghade banae thhe
sindoori mitti ke geele haathon se
mere maathe pe tumne chaand sajae thhe
mitti kya sukhi mera chaand tukdon mei
bikhar ke gir aaya dhul se
qatra qatra mil gaya zameen mei
khaer choro itni si baat pe karne se gaur kya hoga?
yun mitti ke chaand banaaoge aasman mei toh aur kya hoga?

Monday, April 8, 2013

Haina?

sukoon se junoon sa bante ja rahe ho
meri raghon ka khoon sa bante ja rahe ho
pankha toofaan se tez sunaai padta hai
baazu pe naakhun ka aadha chaand dikhai padta hai

kabhi kabhi toh mann hota hai yun
ki tut hie jaaun haalaat ke aagey ab
mere katre seehne aane pe majbur tum
aaoge meetha marhamm liye jab

tab dono milke khuda ko khoob kosenge
phir taaron ke neeche baithe ghaas pe
haathon ki tirchi lakeerein nochenge
aur phir hass deti hu iss hie aas pe

ki khuda bhi thoda toh imaan rakhta hoga
lete lete hamaara imtehaan ab toh
vo bhi aakhein malta thakta hoga
koi toh datesheet nikaali hogi jo

bass khatm hone ko aati hogi na
har roz ki taraah kal bhi phir se
vahi aakhri vaala exam doge na
aur jab lagaaogi sirhaana sirr se

...ussey mera kaandha samjhoge na?

Thursday, April 4, 2013

Meri tarha

dono ki yahi uljhan hai
ki unko bhi toh gila hai
meri tarha
rashk-o-ranj ka jo sama hai
unko bhi toh mila hai
meri tarha
dono ki baatein kahin
zehen mei hie dafn reh gayi
jaane kis giley ke maare
larzaan hai lafz kahin
hothon ke kono mei
kabhi Faiz ki yaad mei
bitayi shabon ki aanch se
phir dhuaan uthta hai yun
maano bujhte koele ko
phir havaa ne sehlaya ho
phir barf ki chaadar dikhai padti hai
vo jo pighalte nahi banti
nakhun se kharonche annmane
nishaan dikhai padte hain bass
angeethi ki bujhti kokh se ujle hue
kyu na isi nazm ke bahaane chalo
bhul jaae dhundle se giley saare
aaj phir puraani dilli ke paas kharchi
chai ki piyaali yaad karte hain
jiski mithas aaj bhi zuban pe
tumhari bhi utar aati hai
meri tarha.

Zubaan

beparvah lafzon ki zuban
bulbulon si nabzon ki zuban
suni hongi ashqon ki zuban
sukhe khu ke zakhmon ki zuban

khushkh hothon se sili
khushk hothon se sili
bepanaah ishq ki zuban...
beparvah lafzon ki zuban

bikhri sirhaane pe mere
teri ranjisho ki zuban
bekhayali mei badbadaae
surkh kaaton ki zuban

beparvah lafzon ki zuban
yun teri ungliyon mei
uljhi meri zulfein
teri kalaai pe bandhi

meri zulfon ki zuban
kharonchon kharaashon
khaafa gilon ki zuban...
beparvah lafzon ki zuban

husn e mirza ko takti
thaki aakhon ki zuban
harr hasi mei sisakti
jhuthe vaadon ki zuban

mere aanchal se chhili
hasraton ki zuban
mere kaandhe pe chhani
laal raaton ki zuban

dhoop pe jalte behte
siyaah ashqon ki zuban
suni hongi tumne
aayaton ki bhi zuban

namazon mei maangi
khidkiyon pe taangi
mazjidon ki seedhiyo pe padi
beeti barsaat ki zuban

beparvah lafzon ki zuban
bepanah ishq ki zuban