meri raghon ka khoon sa bante ja rahe ho
pankha toofaan se tez sunaai padta hai
baazu pe naakhun ka aadha chaand dikhai padta hai
kabhi kabhi toh mann hota hai yun
ki tut hie jaaun haalaat ke aagey ab
mere katre seehne aane pe majbur tum
aaoge meetha marhamm liye jab
tab dono milke khuda ko khoob kosenge
phir taaron ke neeche baithe ghaas pe
haathon ki tirchi lakeerein nochenge
aur phir hass deti hu iss hie aas pe
ki khuda bhi thoda toh imaan rakhta hoga
lete lete hamaara imtehaan ab toh
vo bhi aakhein malta thakta hoga
koi toh datesheet nikaali hogi jo
bass khatm hone ko aati hogi na
har roz ki taraah kal bhi phir se
vahi aakhri vaala exam doge na
aur jab lagaaogi sirhaana sirr se
...ussey mera kaandha samjhoge na?
No comments:
Post a Comment