
Vo zamaana aur tha
Jab dil ki galiyan maidaan hua karti thi
Vo zamaana aur tha
Jab dil ki galiyan maidaan hua karti thi
Ab toh surat-e-haal ye hai ki
Daraaron tak mei malba quaid hai
Daakhila toh muft hai magar iss
Tehes riyaasat ki murammat ke
Tamaam akhrajaat tumhare hain
Bhardo jo haami lakeeron ki daleelon ki
Bhardo jo haami lakeeron ki daleelon ki
Toh tamaam kaghazaat tumhare hain
Mai ye nahi kehti ki tabaah sheher mudh ke saans nahi bharte
Na ye munaasib kehna ki bevafa baaz dafa wafa nahi karte
Haan magar seelan se namm eeton se
Mehel banaane ke khwab tumhare hain
Zang quaid taaron se taaj bunn pao agar
Zang quaid taaron se taaj bunn pao agar
Toh baanh pe ghaat diye baaz toh kya
Moondi ankhon mei chipe surkhaab tumhare hain