Monday, December 2, 2013

Kamm

written for Farhan Khan on Seven Poem Saturday-I

ye kamm bada hie hai vichitr
ye hota kabhi na kisi ka mitr
sab bhule baithe iss lafz ko aaj
hue jabse "aur zada" ke mohtaaj

par kamm...haan kamm chalo aaj iski baat karein
vo kamm kamm ke din phir yaad karein
jab zaada ka koi vaada na tha
jo tha vo kabhi aadha na tha

jab panch rupay mei khushiyan milti thi
aur muft ki baarish pe muskaan khilti thi
jab 'i' ka matlab ice cream hota tha
jab armaan bas armaan na bada na chota tha

ab jinke naam bade unke darshan kamm hote hain
aur jinki jeb choti unke darjan kamm hote hain
par ye bade naam vaale kuch zada hie rote hain
dekho choti jeb vaale kaise sukoon se sote hain

koi ek aam ki ek faank mei char dilon ka pyar hai paata
koi thaal bhari aur bade se ghar mei pura aam akele khata
ab aap bataein mai na bolun kya kamm hai aur kya hai zada
ye kamm zada ka maap tol meri weighing machine ko bhi na bhaata

...hum zara...motey haina...kya karein...




No comments:

Post a Comment