Sunday, September 1, 2013

"Acha Ab Mai Chalta Hun"

ab toh…bas saansein chal rahi hai
zindagi toh usi din tham gayi thi
jab tumne kaha tha "acha, ab mai chalta hun"
ghutnon pe hath tikaa ke
ek saans bharke uthe thhe
chaukhat tak chalke gae thhe
phir feetey baandhne ko rukey thhe

hamesha feetey khule chor dete ho na
kisi din gir gae toh?
toh tum ho na…hath badha ke utha dena
ya khud zameen pe utar aana
mere liye, itna toh karogi na tum?

mai toh kabhi aasmaan ki thi hie nahi
Jab tak tum mere aasmaan na baney
mai toh kabhi iss jahaan ki thi hie nahi
jab tak tum mere jahaan na baney

kitni baar bataya tha maathe ko noch ke
jaate waqt hamesha "laut ke aata hun" kaha karte hain
hoge tum befiqr khuda se hum insaan toh befikari se darte hain
ab toh suraj bhi maano ek hie aas mei dhalta hai
suiyaan chubhaata hua sa waqt chalta hai
ki zindagi toh usi din tham gayi thi
jab tumne kaha tha "acha, ab mai chalta hun"

2 comments:

  1. Tumhari kavitaaon ki taareef karne ke liye lafz nahi hain mere paas.

    Bas tum khush kar deti ho. Aur dil ko wahaan chhoo jaati ho jahaan woh sabse zyada narm hota hai.

    Tumse aur bahut baatein karni hain, batayenge jab waqt milega.

    ReplyDelete
  2. :) :) tareef ki aadat nahi padi abhi tak mujhe... jaane kab hogi. khaer shukriya toh kar sakti hu tahe dil se.

    ReplyDelete