Friday, October 25, 2013

Shor Hai


Ye jo kaano ke andar se sunaai padta hai
Shor hai
Ye jo raaton mei zehen se umadta hai
Shor hai
hukke ki bud bud,padosi ki gud gud
Shor hai
Galiyon se chhan ke khidkiyo mei aata
Shor hai
Bijli se tez pahiyon ki avaaz jo hai
Shor hai
Ye jo mehfilon ko javaan karta hai
Fakat shor hai
Pankhe ke pahiyo ki avaaz shor hai
Darvaaze ke bannd gale se nikalta
Shor hai
Aate aur jaate har kadam ki aahat shor hai
Meri kalaai pe takraati churiyaan
shor hai
Train ki tez tarraari shor hai
Logon ki baatein shor hai
Kambakhat raatein shor hai
Pachiyo ke pankh shor hain
Mandiron ke shankh shor hain
Azaan, namaaz ba khuda shor hai
Ye duniya ke dastur shor hai
Ye sajde befizul shor hai
Inn sab ke beech jo sannate si sunaai deti hai
Bas ek teri avaaz hai
Baaki sab... Sab shor hai

Tuesday, October 22, 2013

walk with me

"Its like we know another language" he thought...
"Its like we've built
a street between our hearts
and we sit on the footpaths
from moon to moon
and noon to noon
leaning,breathing,sighing,laughing
as the traffic passes by
disinterested, perfectly so"...
"stay" he said as she glanced at the time
"I will," she said "as long as you never promise...
to never let me go."

Tuesday, September 10, 2013

Ghalib ki Galiyaan

Ye ghalib ki galiyan hain janaab
Yahaan chaubaron pe kapde jhaado
Toh paani ki boondon ko chooriyon ki khanak se ishq ho jaata hai
Jo khidki ke peeche se chaunk ki tez tarrari sunaai padh jaae
Toh aankho ko mirchi ki tees ka chaska chadh jaata hai
Har subah tauliye se chalakte bheege baal Baarishon ke mausam ka sa ehsaas chor jaate hain
Yahaan araam parast kone, shamon ko dhua karte ghazalein gaate hain
Dhool ko gaur se dekho... Dhoop mei khwabon si chamakti dikhai padegi
Shhh gaur se suno rickshe ke pahiye pe bandhe kisi ashiq ke dil ki aah sunaai padegi Yahan bazaron mei kaudiyan nahi chalti
Tute hue dil, galon ke til, thande armaano aur ghungraale baalon mei khareed hoti hai
Ye berehm beparvaah kilkaarion mei hasti hai Ye chameli ke gajron ki khushbu mei sajti hai Ye tute masruf dilon ki doobi kashti hai
Ye pehmaano se tapaki boondon si dassti hai Ye ghalib ki galiyan hain janab ye ishq ki basti hai

Sunday, September 1, 2013

"Acha Ab Mai Chalta Hun"

ab toh…bas saansein chal rahi hai
zindagi toh usi din tham gayi thi
jab tumne kaha tha "acha, ab mai chalta hun"
ghutnon pe hath tikaa ke
ek saans bharke uthe thhe
chaukhat tak chalke gae thhe
phir feetey baandhne ko rukey thhe

hamesha feetey khule chor dete ho na
kisi din gir gae toh?
toh tum ho na…hath badha ke utha dena
ya khud zameen pe utar aana
mere liye, itna toh karogi na tum?

mai toh kabhi aasmaan ki thi hie nahi
Jab tak tum mere aasmaan na baney
mai toh kabhi iss jahaan ki thi hie nahi
jab tak tum mere jahaan na baney

kitni baar bataya tha maathe ko noch ke
jaate waqt hamesha "laut ke aata hun" kaha karte hain
hoge tum befiqr khuda se hum insaan toh befikari se darte hain
ab toh suraj bhi maano ek hie aas mei dhalta hai
suiyaan chubhaata hua sa waqt chalta hai
ki zindagi toh usi din tham gayi thi
jab tumne kaha tha "acha, ab mai chalta hun"

Tuesday, May 21, 2013

Ma

Hai maayus bada dil
Aaj rone ko ji chaahta hai
Unhi baazuon mei phir sone ko ji chahta hai
Vo jinhe kabhi garmjoshi mei jhatka tha
Bade sard mijaz hoke jinki
Har dua ko bistar pe patka tha
Aaj silvaton se usi bistar ki
Dhul sanjone ko ji chaahta hai
Hai maayus bada dil
Aaj rone ko ji chaahta hai

Thi loriyon ki goonj harr raat mei
Aur harr subah namazon si hoti thi
Phoonk phoonk meri balaaon ko
Apne maathe pe vo sanjhohti thi
Beech raat meri razaai uchkaane ko
Vo aksar neend se jaag jaya karti thi
Mere harr nakhre ko
bade naazon se uthaya karti thi
Mai roz kehti "offo ma deri ho rahi hai hatt bhi ja"
Vo roz kehti "beta naashta toh karti ja"

Mai haar gayi ma ab toh gussa chor de
Itni bhi narazgi yun chal di muh mor ke

Kal imtehaan hai mera dahi nahi chataao gi?
Dekh mai tayyar ho gai ma kaala teeka nahi lagaogi?

Vo jo ghee aur gurh chur ke tu banaya karti thi
Teri ungliyon ki khushbu mei sani
phir vahi churi khaane ko ji chaahta hai
Hai maayus bada dil
Aaj rone ko ji chaahta hai