Friday, November 22, 2013

Shayad


Shayad...mera hissa kahin choot gaya hai vahin bannd kamre mei aadhi raushni mei
Shayad...mera kissa kahin chhoot gaya hai
Vahin bannd masjid ki aadhi kahi fariyaad mei

Tum sach mei mujhe dekha karte thhe harr subah?
Ya namaaz mei dua parast hue hathon mei dhoop nahi mera vehem thha

Shayad...chhal tha mann ka rooth gaya hai
Parde aur khidki ke beech fasi dhoop sa
Shayad...kal tha aaj hie toot gaya hai
Peeth peeche ki gai mehendi ki khaali koop sa

soch soch ke tumhe itna sach kar chuke hain
Ki ab sach nahi ho sach yakeen nahin aata
Noch noch khudko sakht kar chuke hain
Tere zikr se phir bhi hai rakht kahin aata

Shayad... tum hamesha se hie kitaabi thhe
Mangharant, mann behelaane vali kahaani se
Shayad... hum hamesha se hie kitaabi thhe
Churiyon, chai elaichi mei jeene vaale

Chalo aaj tumhe iss udhaar se faarig karte hain
Mere khwabon mei aane ke bhaar se faarig karte hain

Tum shaayad umeed mei toh thhe par naseeb mei nahi
Aaj lakeeron mei fasne ke jaal se faarig karte hain