Ye jo kaano ke andar se sunaai padta hai
Shor hai
Ye jo raaton mei zehen se umadta hai
Shor hai
hukke ki bud bud,padosi ki gud gud
Shor hai
Galiyon se chhan ke khidkiyo mei aata
Shor hai
Bijli se tez pahiyon ki avaaz jo hai
Shor hai
Ye jo mehfilon ko javaan karta hai
Fakat shor hai
Pankhe ke pahiyo ki avaaz shor hai
Darvaaze ke bannd gale se nikalta
Shor hai
Aate aur jaate har kadam ki aahat shor hai
Meri kalaai pe takraati churiyaan
shor hai
Train ki tez tarraari shor hai
Logon ki baatein shor hai
Kambakhat raatein shor hai
Pachiyo ke pankh shor hain
Mandiron ke shankh shor hain
Azaan, namaaz ba khuda shor hai
Ye duniya ke dastur shor hai
Ye sajde befizul shor hai
Inn sab ke beech jo sannate si sunaai deti hai
Bas ek teri avaaz hai
Baaki sab... Sab shor hai