Dekh dekh ke sapne,
thak gai hain aankhein
sab hain mere apne,
jhuki palkon se jhaakein
ab waqt ho chala hai
ankh uthaane ki sazaa hai
ab toh jail mei jaana padega
sapno ka bojh uthaana padega
nahi toh ye kambakht mujhe
jeene nahi denge bina bhujhe
jo pyas lagi hai udne ki
jalne ki na bujhne ki na mudne ki
zid se ab koi parda na rahaa
aaj issey khud hie sar chadhaaya hai
chori se chupaa rakha tha ankahaa
aj jurrat mei ghol pakaaya hai
ab se sirf aar ya paar hoga
har dar dar kinaar hoga
keh lo chaahe besharm banungi
par aaj se bass dil ki sunungi
kyuki tum toh aake chale jaoge
har roz ek nayaa bahaana banaoge
raat mei akeli reh jaaungi mai
khwabon ki khichdi pakaaungi mai
mirch thodi zyada, zaraa si haldi
tiffin mei daala uthaa ke chaldi
soongh ke bataao, khushbu ka rang
sambhal ke rakhi kitaabon ke sang
aaj dabba khola, rang ab bhi gehra hai
dabbe ke sheeshe mei mera hie chehra hai
par ye itna anjaana sa kyu hai
uss se jab pucha kya ye tu hai?
itra ke bola haan hun toh
par abhi quaid hun andar
mai begunaah hun voh
jissey sazaa e parda sunaa kar
tuney farzi chaen ki saans li thi
puchta hun meri arzi mei kya kami thi?
ab javaab dene ka waqt aaya hai
ja tujhe 2 pankh ka tohfa lagaaya hai
aur sazaa e udaan sunaai hai
jo logon ko jurrat nazar aayi hai
par aaj bass aisi aag lagaa
bhul jaae karna khud se dagaa
dekh dekh ke sapne
thak gayi hain aankhein